THAT LAST PHONE CALL

             Acha suno?

                    Ye jo tum batein karte ho duniya jahaan ki cute cute muje khud se baandhein rakhne ke liye kya sach mein nibha paogey?
payal ne bahut hi pyari si awaaz mein krunal se pucha.
Arey, what do you mean by baatein? bhai jazbaat hai humare aapke liye yuhi thodi mohabbat karte hain hum aapse.
krunal ne haste huve kaha ..
Aur issi tarah baat karte karte so gaye.
Well, well payal & krunal bahut pyare couple hai .krunal ek taraf bahut ziddi hai to dusari taraf payal bhai bahut ziddi hai dono ki kaibaar zid itani badh zati hai ki ladaiya ho jaati hai.

Krunal aapne yaaro dosto me jyada involve rahata tha, uske kuch khass yaar the jinki baato ko wo khabhi taal nahi pata tha.
Aur in yarro mein ek yaar tha vivek , vivek se uska aisa tha jaise jai or veeru bhai jesa ristha dono ka ek dusare ke bina uska chalta hi nahi tha bilkul.
Dono bilkul jaan chidakte the ek dusare pe vivek ne jo bol diya wo krunal na taal sake or krunal ne jo bol diya wo vivek na taal Sake.
Bas yuhi din beette gaye ratein bhi beet ti gayi fir ek din.
“Payal what’s wrong with you tum mujhe itna control nahi kar sakti yaar tumhe pura din deta hoon na to tumhe isse kya matlab hai ki main raat ke 1 baje ghar aau ya 2 baje?
Aur me vivek ke saath tha yaar thodi zyada ho gayi thi baatein bhi lambi chal gayi to kya huva mera dost ke sath bhi kuch time hota hai mujhe wo dena hota hai please don’t control me like this I have my personel life too
Payal ki aankho mein aansu aayage jab krunal ne contrl wali baat pe usey suna diya kyuki yaar wo kuch galat nahi bol rahi thi raat ke 2-2 baje tak tum bahar kyun ho.
Ghar me bethna chahiye lekin nahi krunal ko jo sahi lagata hai wo vahi karta hai.
Fir ek din payal yuhi youtubr scoll kar rahi thi to aaachanak usko ek news video dikhti hai “ chaina mein paya gaya corona virus”
Jab usne research kari pata chala waha pe kafi logo ko ye virus ho gaya hai aurabhi tak doctoprs iska koi treatment nahi nikaal paye hain.
Dusre desh mein ye khaber dekh ke payal ko ek tasalli rahi ki chalo apne yaha aisa kuch nahi hai usne us raat ki conversation mein krunal se ye share kiya.
Kuch hapte beet gaye ye khaber aag ki tarah fail gayi sab jagah aur ab ye virus sirf china nahi italy,america india aur puri duniya mein aachu tha.
Krunal please ye virus india mein bhi paya gaya hai logo mein i know humari city me abhi ek bhi infected nahi hai lekin kyuki ye virus dikhta nahi hai iskiye aoko nahi pata kise hai aur kise nahi.
To aap please apne aapko protected rakho apna kyal rakho gloves mask pehne ke nikalo agar bheed wali jagah pe mat jana kisi apna khayal rakho.
Itana kehte kehte payal ki aankhein bhar aayi shayad ye pyaar tha krunal ke liye shayad ye khone ka darr tha hota hi hai ladkiya bahut emotional ho hi jaati hain.
krunal ne use bahut pyaar se samjaya ki tum chinta mat karo mein thik hu munje kuch nahi hoga tum chinta mat karo abey kayka virus usey main tumhara bina makeup ka photo dikha dunga wo bhaag jayega.
Dono khub hase krunal ne payal ko chupaya aur call par hi usey sula diya .
Corona viris ka kehar badta hi ja raha tha hazaro log mar rahe the ha din sheher lock down ho rahe the abhi india me lockdown ki situation yaha tak nahi pauhchi thi kyunki india me rate kam tha infected logo ka.
Fir ek din jab government ne quarantine hone ke liye kaha aur social distancing ke liye abhi tak payal bahut panic ho gayi ki ab tum ghar ke bahar kadam bhi nahi rakhoge.
Usne khud ko bhi ghar me lock kar liya aur krunal ko bhi bahut tight kar diya ki ghar se bahar nahi nikalna.
Lekin nahi manta krunal kyuki insaan ko jis cheez ke liye jitna rokoge wo utna hi machalta hai wo kaam karne ke liye.
Krunal aur vivek raat mein apna bethe the ek din to vivek  ka ek janne wala waha dikha vivek ko dekh ke wo uske pass aaya aur krunal ae aur vivek se hath milaya. vivek ne puchaa bhai aaya kese?
Itane me krunal ke oass ek call ayi aur wo usko attend karne ke liye side me agya wo call ghar se thi aur krunal ko har jaana pada.
Vivek aur krunal bahar zaroor nikalte the lekin dono ghar pauch ke ache se handwash kar lete the aur sanitise bhi kar lete the.
Krunal jaldbazi me ghar aya aur dunner karne apne room me agaya.
Wo raat yuhi beeti agle hi din jab krunal utha soke to usko sar me kafi dard mehsus hua usne dawai li lekin dawai ka koi asar nahi huva usne ye dard payal se chupaya kyunki usey pata tha bata deta to bhahut daant padti.
2-3 din tak usne chupaya apna dard lekin ab sirf dard nahi usko gale me dard bhi hone laga tha aur halka halka zukham bhi.
Jab bhi wo payal se baat karte karte khasta ya awaaz me badlav lagta payal usse puchhti tumhe kya huva hai to wo usko flu bata ke doctor ko na dikhata ki zid karne lagta.
Bas fir kya ek din hadd hi ho gayi payal ne bahut zid karte bheja doctor ko dikhane to test me krunal ko corona virus positive nikla.
Itna dekhte hi krunal ke hosh ud gaye uske pairo tale zameen khisak gayi aur usko bas ek hi darr satane laga " maut" ka.
Usne jab payal ko bataya to payal ka ro ro kar bura haal ho gaya aur usne rote rote usse ye puchaa ki tum ghar se bahar kab nikle kisse mile mere mana karne ke baad bhi kyu gaye.
Krunal ne yaad karne ki kosis kari to usey yaad aya us raat vivek ka dost aya tha usne hath milaya tha kahi wahi to nahi usne vivek se turat kaha checkup karane ko vivek ne jab karaya to uska negative nikla wo hairaan reh gaya.
Hath to dono se milaya tha infect ek kaise hua vivek ne jab pucha  tum ghar aake hath sanitise kiya tha achhe se hand wash kiya tha?
To krunal ke pass bas ek hi jawaab tha nahi kyunki wo jaldbazi me seedha apne room me chala gaya tha.
Ab krunal ek room me locked tha aur apni zindagi aur maut se lad raha tha uski tabyat me sudhaar na hote dekh har ek usse juda insaan ro ro ke bura haal kar raha tha apna.
Virus ne buri tarah krunal ko jakad liya tha bahut buri tarah.
Beech me kayi chaakar bhi lage hospital ke doctor ne usse isolation me rehne ko kaha.
Usraat krunal ne payal se call kiya aur call pe uske aagey bahut roya bahut zyada roya aur rote rote bahut mafiya maangi ki payal kaash kaash main tumhari baat sun li hoti.
To aaj me yu is tarah yaha apne soon to be death bed pe leta na hota.
Payal ke bhi aasu nahi ruk rahe the bahut dard tha un dono ki baato mein.
Wo call puri raat chali.
Kise pata tha ki wo call krunal ki zindagi ki aakhari call hogi.
Thodi si lahparvahi ki vajah se ek maa baap ne apna beta khoya behen bhai ne apna bhai khoya ,payal ne apna hone wala humsafar khoya.
Aur ek dost ne apna dost .
Bas thodi si laparvahi ki vajah se halaaton ko seriously na lene ke liye.


Agar aapki family mein kisi ko bhi corona virus positive paya gaya to wo aapse dur kar diya jayega ekaant me eakh diya jayega.
Na aap unhe dekh payege na khayal rakh payenge agar koi recovery hoti hai to wapis bhej diya jayega aur agar nahi to kabhi dobara dekh payenge.
Na hi marne ke baad koi kriya ke liye apko dead body di jayegi agar ye sab padane ke baad bhi aapki aankhein nahi khuli to kabhi nahi khulengi.

                         STAY HOME , STAY SAFE..........





3 comments:

Powered by Blogger.